Hello friends,
Happy new year 2025…. me hu aap ki host meena sharma,
So friends aaj me ek nai story k few words shere karne ja rahi hu..
Meri story me ek aam aadmi ke jivan k shagharsh ki kahani aap sab k samne prastrut karne ja rahi hu…
Ye to aap sab jante hi hoge ki ek middle class pariwar ki pheli jarurt kya he..roti, kapda or makan…or ye tino chizo ko pura karne k liye ek aam aadmi kya kya kar sakta he…ye meri story k few word k jariye aap logo tak pahochana chahti hu..
Dosto aap sabhi ne dekha hoga akasar garib pariwar me ek insan kamane wala hota he or pura pariwar uski kamai par jita hota he…
Aaj eshe hi muskilo se gujarte ek aam aadmi k sagharsh ki
Is kahani k nam or jga kalpnik he , isse aas pass ki chiz or jga se koi matlab nahi he
To chaliye dosto me aage badhti hu..bat he aam aadmi k sagharsh ki jiska nam he ramu ..ramu k pariwar me uski maa or uski patni jiska nam he maya. Or do chhote bachche sanju or ladki ka nam he laxmi….
Ramu or uska pariwar Gujarat ke chhote se gaw me raheta tha..ramu ki patni maya 5wi class tak padhi likhi thi..ghar k har chhote mote kam use aate the..ramu eshi patni pakar apne aap ko bada bhagshali manta tha…
Ramu bhi jo kam mile wo kar leta tha usi se uske ghar ka gujara chalta tha..jis din kamai n ho us din uske pariwar ko bhukha sona padta tha..
ek din ki bat he ramu ki maa bimar pad gai..maa ki dawai k uske pass paise nahi the..aas pass k gaw me jakar jo bhi rishtedar the unke pass hath jodkar maa ki dawai k liye paise mage par kisi ne nahi diye..
gaw me har jga haiza faiala huwa tha..bina paise or bina ialz ke ramu ki maa ne tadap tadap ke dam tod diya..maa ki maut ne ramu ko anadar se tod diya tha..aakhir wo karta bhi kya…q ki ramu jaha raheta tha uske aas pass kachare or gandgi k dher lage huwe the..or baris jayada hone k karan charo taraf kadav kichad or gandgi ….safai n hone ke karan ye bimari pure gaw me fail chuki thi..gaw k har chhote bade ek ek karke mar rahe the..
usme ramu kam k liye bhi kahi jata to nirash hokar wapis ghar aata..bachhe bhuk k mare ro rahe the…aakhir ramu or uske pariwar ne 3 din se kuch khaya piya nahi tha..
rat me jese tese karke bachho ko ramu ki patni ne sualya..par ramu ko nind nahi aa rahi thi…use eshe bachain dekh maya ne ramu ke pass jakar puchha aap itne dukhi q lag rahe ho..maya ki bat sunkar ramu ki aakho me aasoo aa gye..kuch der bad ramu bola maya kya karu kuch samj me nahi aata mujse hamare bachho ki halat dekhi nahi jati.
Jayada baris hone ke karan or badh ka pani pure gaw me fail chuka he..jiske karan kachhe mitti ke makan or fasalo ko bhari nukshan huwa he..log roti k liye idhar udhar bhatak rahe he…kam magne kahi bhi jata hu to dhakka marke kam nahi he esha bolte he..ab tum hi bolo maya me kaya karu..
Aaj muje bahot afsos ho raha he ki kash me thoda padha likha hota to saher jakar kuch kam kar sakta…ramu ki bat sunkar maya ki aakho me aasoo aa gye…saree ke pallu se apne aasoo pochhte huwe boli agar aap hi himmat har jaoge to hamare bachho ka kya hoga…ramu bola gaw me charo taraf haiza faila huwa he.eshe me ham bhi yha rahe to ek ek karke mar jayege..
Kuch der sochkar maya ne bola to ab kya kare hamare pass itne paise bhi nahi he ki dusre gaw jakar kuch kam kar sake..ramu bola kuch bhi ho jaye muje ham se jayada hamare bachho ki chinta he…tab maya ne apni pati ki bat mankar dusre gaw jane ka faisla kiya.jane se pahele maya ne ghar me jo thode se bartan or kapde the wo ek potli me bandh liye..
Ghar ke puja ghar se kishan bhagwan ki murti or deewar pe lagi ramu ke maa or pitaji ki photo bhi le li..itna kar maya room me soye huwe apne dono bachho ko uthane gai..
Par ye kya dono bachho me se ek sanju karke jo ladka tha wo nind me hi chal basa tha..bhuk ke karan sanju ne nind me hi dam tod diya tha..maya ne sanju ko gale se lagakar bilkh bilkh kar rone lagi…
Apni Nazaro ke samne apne bachhe ko mara huwa dekh maya pagal si ho gai..ramu ko dekh boli dekhiye n hamare sanju ko kya huwa he kab se utha rahi hu uth hi nahi raha..tab ramu ne maya ko samjate huwe bola hamara sanju ab is duniya me nahi raha he..tab rote huwe maya ne kaha ye nahi ho sakta ..hamne kya kya sapne dekhe the..hamare sanju ko padha likhakar bahot bada doctor banayege..wo hamare budhape ka sahara hoga…esha bolkar maya jor jor se rone lagi..rone ki aawaz se aas pass ki kuch orte or 4-5 insan aakar maya ki god se sanju ko le liya…
Ramu ne badi muskil se maya ko shant karke bola sanju kahi nahi gya he..wo hamare dil me hi hamesha rahega..or usko doctor banane ka sapna ham apni ladki laxmi ko padha likha kr karege..fir sanju ko ghar se dur ek gadde me mitti khodkar dafan kar diya..ramu or uski patni maya or sath me apni chhoti si ladki laxmi tino ne is ghar or gaw ko chhodne ka fesla kar diya..
Ramu ke ghar k bagal me uska ek padoshi ashok uski family k sath raheta tha..kahene ko wo padoshi tha par har sukh dukh dono sath me mil batte the… gaw chhodte jate samay ramu ashok ke ghar milne gya..dono dost ek dusre ke gale lagakar roye..ashok ne apni purani cycle ramu ko dete huwe bola bure wqkat me ye tere kam aayegi..iske alawa mere pass or kuch nahi he..ramu or uski patni ne hath jodkar usko shukriya kiya..
Jate jate ghar ko aakhri bar dekh liya q ki is ghar me uske pariwar ki yade judi hui thi..ramu k pitaji ne isi ghar me apna pariwar shuru kiya tha..ek sal bad ramu ka janam huwa.ramu ki barat bhi isi ghar me aai thi..ramu or uski patni ne apne bachho k liye jo sapne dekhe the wo bhi isi ghar me..par ek k bad ek pura pariwar bikhar sa gya..ab ramu ke pass purani yado ke siwa kuch nahi tha.ghar ki mitti ko mathe par lagate huwe ramu aage badha.
Ramu ne saman ki potli ko maya ki god me rakhakr use pichhe bitha diya..or chhoti laxmi ko aage bethakar khud paidal chalne laga..ek bar fir se ramu ne pichhe mud ke aakharibar ghar ko dekh liya..
Baish fir se rim zim chalu ho gai thi..ramu or uska pariwar gaw se kafi dur nikal aaya tha..der tak chalte rahene se ramu kafi thak gya tha.or dhire dhire karke barish ab tej hone lagi thi. Maya ne bola q n ham kisi ped ya chhat ke niche kuch der vishram kar lete he or aap bhi chal chalke kafi thak gye he..ramu ne bola thik he.fir tino ek chhat ke niche barish rukne tak ka intezar kar ke beth gye..
Laxmi ne maya se bola maa muje bhukh lagi he or pani bhi pina he.maya ne matki me se pani nikal kar laxmi ko pilaya or thoda pani ramu ko bhi diya.barish rukne par maya se ramu ne kaha me aas pass k gaw me jake dekh ta hu kahi rahane ke liye chhat or kam mil jaye..mere lautne tak tum dono yhi rukar mera intezar karna..
Itna kahekar ramu purani cycle par bethakar kam ki talash me nikal pada..par har jga pani ke karan kichad or gandgi ke dher lage huwe the.ramu kuch der ruk kar sochne lga opar wale ne pata nahi kya likha he meri kismat me..wo soch hi raha tha ki utneme ek kuch 50-55 sal ki umra ke insan ko fisal ke girte huwe ramu ne dekha.us budhe insan ka sara rashan ka saman or kapde sab kichad lagne ke karan khrab ho gya the..ramu ne turant pass jakar budhe insan ko hath dekar uthaya..or puchha baba aap ko kahi chot to nahi lagi he n..
Budhe baba ne ramu ke sar par hath rakh kar bola nahi beta muje koi chot nahi lagi he par Sara rashan ka saman khrab ho gya he..ab wapis bazar jakar saman lane me kafi samay lag sakta he..bechare grahak wapis chale gye hoge..
Ramu ne bola baba me kuch samja nahi..baba ne muskurate bola eshi koi bat nahi he..darsal meri ek chhoti si dukan he jisme puri or chane banake bechta hu.or jo khane k paise nhi de pate unse me nahi leta hu..or jo bachta he ussi se mera gujara kart hu..ramu ne kaha ye to bahot khushi ki bat he aap ke pass rahene ko chhat or aamdni ka jariya to diya he opar wale ne..yha to mere pas esha kuch nahi he..
Ramu ki bat sun kar baba bole tum esha q bol rahe ho tumne muje baba bola he n to aaj se tum mere bete jese ho..wese tumko pahele is gaw me dekha nahi he,tum kaun ho or kaha se aaye ho,ramu ne ek jga beth kar apni sari bat baba ko batai..or kam ki talash me yha is gaw me chalte chalte aa gya hu..meri patni or chhoti bachhi ko ek jga par bitha kar kam ki talash me idhar udhar fir raha tha utne me aap se mulakat ho gai meri..baba bole chalo oparwale ne kuch achha hi socha hoga ham dono ke bare me..baba ne kaha are beta me ab budha ho chuka hu..pahele jesa kam ab nahi kar pa raha hu.agar tumhe thik lage to aaj se tum meri dukan me kam kar sakte ho..
Usme ham dono ka hi fayda he,tumhe rahene ko chhat or khana mil jayega or muje ek bharose ka aadmi suno tum pahele apni patni or bachhi ko lekar sidhe mere ghar chale aao..
Meri patni aap sab ko dekh kar bahot khush ho jayegi..darsal hamara ek beta bhi he..par sadi ke bad wo apne biwi or pote ke sath alag ghar lekar raheta he..ab is umar me ham dono jese tese karke din kat lete he..par meri patni abhi bhi apne pote or bete ko har roz yad karti he..
Are me bhi kaha ye sab bate lekar beth gya hu..me to bhul hi gya beta subah se tum kam ki talash me nikle ho pata nahi tum or tumhare pariwar ne kuch khaya bhi hoga ya nahi..tum pahele unko yha lekar aa jao ramu..thik he kahekar ramu apni patni or bachhi ke pass pahoch gya..
Ramu ko dekh kar maya boli kaha the … anjani jga par ham kahi kho jate to pata he laxmi kab se papa kab aayege bhukh lagi he kahe kar ro rahi thi..ramu ne ek ek karke sari bate maya ko sunai..maya ne baba ko dil se duwa di anjan jga par farishta bhej diya he opar wale ne..bhagwan unka bhala kare jisne hame roti or chhat di..
Kuch hi der me ramu apne pariwar ke sath baba ke ghar pahoch gya..maya ne pair chhukar baba or unki patni ka aashirwad liya..laxmi ko dekh kar chachi ki aakho me jese chamak si aa gai..uski pyari si muskan or dadiji nam sunkar laxmi ko apne sine se laga diya..dadiji roiye mat me aapke sath khelugi or bate bhi karugi..or haskar dadiji baba se boli sunte ho aaj fir se beta bahu or poti mil gye he..baba ne bhi haskar ha bola ..aaj ye pariwar pura lag raha he..dadiji ne unko apne bete ka kamara unko rahene de diya..us rat dono pariwar jese ek ho gye..sab ne ek sath milkar khana khaya..laxmi ko bhi dada or dadi roj nai kahani sunate the..dusre din ramu or baba naha dhokar puja karke dukan kholne chale gye..
Baris ab puri tarah ruk gai thi..maya ne bhi chachi ko aaram karne ko bola..ghar ka sara kam karke chachi ko khana khilakar unko aaram karne ko bola ..chachi ne maya ko bola tu meri fikar chhod pahele tiffin me khana bharke tere baba or ramu ko dekar aa sakti he..maya boli are q nhi me abhi unko khana dekar aati hu..dukan ghar ke pichhe ki jga par hi thi is liye jane me der nahi hui..dukan jakar maya ne aawaz lagai chaliye aakar khana kha lijiye..warna khana thanda ho jayega..pitaji chaliye khana khate he..are muje maf kar dena mene aapko pitaji kaha ..are to usme mafi magne ki kya jarur he..tum muje pitaji bula sakte ho ..jitna pyar muje mere khud ke bete bahu ne nahi diya utna tum dono ne paraye hote huwe bhi sage se badhkar hame diya he..aaj se tum hi hamare sage bete or bahu ho..
Ramu roz bazar jake saman lekar aata fir dukan ki saf safai karke baba ko lekar dukan lekar aata..cash caunter par baba ko bithakar khud khana banana beth jata.or maya bhi jaldi jaldi ghar ka sara kam or chachi ko khana khilakar tiffin me bharke dukan pe ramu ka hath batane aa jati..dono dil se kam kar rahe the unki mahenat rang lai..baba ne khush hokar ramu ko aashirwad dete huwe bole aaj mera khud ka beta bhi ye n kar pata jo tumne kar dikhaya ..ramu or maya dono mil ke dukan chalane lage the ..dono ke khane ke charche ab charo taraf hone lage the..laxmi ko bhi ek achhe English medium school me padhne ko bitha diya tha..dhire dhire ramu ko aamadni hone lagi thi..ramu ne ek ladke ko dukan me kam par rakh diya tha…dhire dhire ek chhoti si dukan ek khane ki hotel me parivartit ho gai ..us hotel ka nam ramu ne chachi ke nam opar se annpurna rakha..baba or chachi bhi man hi man ramu ka esha bina swarth ka pyaar dekh kar dil se duwa dete the..ramu bhi unko apne pitaji ki tarah hi aadar karta or har kam unse salah lekar hi aage karta..
Chachi ne maya ko pass bulakar ghar ke tijori me rakhe jevar dete huwe boli ye mene apne pote ki sadi ke or apni bahu ke liye banwaye the..ab ye me tuje de rahi hu le sabhal ise… maya boli nahi chachi ye sab me nahi le skti is par aapke bete or bahu ka hak he..hame or kuch nahi aap dono ka aashirwad chahiye..tab baba ne maya ko zuth muth ka dat te huwe kaha ha sach hi to he ye hamse q lege bhala.aakhir me uska baap thodi n hu..
Ramu bola nahi baba eshi bat nahi he ..jab mushibat ke samay apno ne hame sahara nahi diya tha mera beta bhukh ke karan mar gya..par kisi ne hame madad nhi ki thi…aap us wqkat hamari duniya me farishta banke aaye jisne hame roti, kapda or rahene ko chhat di …or to or laxmi aaj achhe se English medium school me padhne lagi he wo bhi aap ke karan …aap dono ne hame kabhi paraya nahi samaja he ..
Baba or chachi ne fir se dono ki kasam dekar zevar or apne bete hone ka hak diya..or ye bhi kaha ki ham dono ke marne ke bad tu hi hamari chita ko aag dega..laxmi khelte khelte chachi ki god me sar rakh kar so gai..
Maya bhi baba ko milk ka glass or dawai dekar ghar ka baki kam karke ramu ke aane ki rah dekhne lagi..ramu bhi hotel ka sara kam pura karke or dusre din ke menu ki list bana kar paise or chabi lekar ghar aa gya…ghar aakar muh hath dhokar dono ne sath milke khana khaya..
ramu or maya apne room me ja rahe the..tbhi baba ke room ki light jalte huwe dekhi ..dono baba ke kamare me aaye..baba muje aapse kuch bat karni he.ha bolo n beta koi pareshani he..paiso ki jarur he are nahi baba esha kuch nahi he..darsal mere or maya ke man me ek vichar aaya he q n ham puri or chane ke sath menu me kuch or soche..
q ki aaj badlate zaman ke sath grahak ko bhi khane me kuch naya chahiye..ha to thik he n beta tuje jaise thik lage..subah lunch ke sath papad, achhar, chhachh,dal or chaval rakhte he,or sham ke menu me Punjabi chhole or kulche ke sath dahi ka raiyta …baba ne sunkar kaha are ye to bahot badhiya he ..par ramu tu akele kar lega ye sab..mera matalab he bazar se sara saman lana karna sabji ready karna isme to kafi insan ki jarur pad sakti he..
ramu hanskar bola nhi baba ab bazar me ek eshi mashin aa gai he jisse ham minto me sara kam kar sakte he ..usme hamara kafi samay bach sakta he..mashin ki bat sunkar baba bole kya sach me ramu eshi mashin aa gai he..ha baba ek eshi mashin jisme ham masala bhi ready kar sakte he..kapde dhone ki bhi mashin bazar me aa gai he.ab ghanto ka kam chutki bajate ho jayega..
are wah ye to bahot achhi bat he par ramu tuje ye sab chalate aata he..aato to nahi he par dhire dhire shikh lunga baba..aap bas hame sirf aashirvad dijiye…fir dekhiye aapka ye ramu ka kamal..are mera aashirvad hamesha tumhare sath he..ramu bazar jakar achhi company ka mixer grainder lekar aaya..jo chiz bante 15-20 min lagti thi wo ab chutki bajate ready hone lagi thi aas pass ke logo me bhi ramu or uske khane ke charche hone lage the..dhire dhire karke usne khane me bhi achhi veraity samil ki lekin dam wahi rakha jisse koi bhi aam aadmi pet bhar kha sake..
ha koi esha jarurat mand insan aata to uske pass se khane ke paise nhi lete tha opar se pet bhar khana or sath me uske parivar ke liye rashan ka bhi prabandh kar deta tha ramu…taki kisi ke ghar ka chirag bhukh ke karan bujne n paye..jese uska sanju mara tha..purani yado ke sath fir ek bar ramu apne kam me jud jata dusre din ki list ready karne me..
baba or chachi dono hi ramu se bahot khush the..man hi man sochte the esha beta bhagwan sab ko de.esha karte karte din par din bit te gaye..sal or mahina gujrarta gaya..laxmi bhi ab dhire dhire badi hone aai thi..12vi class pass karke medical college me admission le liya tha..wo badi doctor banke apne papa ka adhura sapna pura karna chahti thi..college ghar se kafi dur tha roz aana jana uski padhai me jese villab karta tha..ha Sunday ki chhutti me wo ghar aa jati thi..pura din apne parivar ke sath raheti thi..dada dadiji ko apni padhai ke bare me batati..or sham hote hi wo hostel ke liye nikal jati..aaj ramu ke pass sab kuch tha ghar gadi nam daulat sab kuch tha..bazar me ya koi bhi jga aane jane ke liye driver bhi tha..
par jo tuti purani cycle se usne jo safar shuru kiya tha wo abhi tak use sabhal ke rakha tha..ramu wo din or us dost ko kese bhul sakta tha..musibat ke time us garib dost se jo kuch ban pada wo muje diya jo aage chalke kam aa sake..aaj ramu ke aage badhne me uske dost ashok or tuti purani cycle ka bhi hath tha..wo roz bhagwan ki puja karne ke bad uske dost ko yad karke us cycle ko bhi saf karke rakhta tha..par aaj ramu ke pass har wo chiz thi dekhte hi dekhte ek restorant se wo badi five star hotel ka malik ban chuka tha..par ramu aaj bhi apne purane din bhula nahi tha..aaj bhi wo niche bethkar hi sada khana khata tha..ek din ghar se maya ka phone aaya, maya ki aawaz me chinta or dard saf dikhai deta tha..jese kuch hone wala ho..suniye phone par maya ki aawaz sunkar ramu bola maya kya bat he tu itni dari hui q ho..ghar me sab thik he n..pahele aap ghar jaldi aa jaiye..chachi aakhari bar aapse milna chahti he..ye aakhari bar ka kya matalab he maya kya huwa he chachi ko bolo..ramu ne phone niche rakhate huwe ghar aane nikal gaya..
restorant bandh n karte sirf lokar bandh kar liya taki koi bhukha insan bina khaye wapis na jaye..hotel ke maneger ko sab samjakar ghar jane ramu nikal gaya..chachi bar bar ramu ka nam le rahi thi..kab aayega ramu aaya ki nahi..ghar bhi aas pass ke logo or unke rishtedaro se bhar gaya tha..ramu ne gadi se niche utarkar jese hi ghar me kadam rakha turant chachi boli aa gya mera beta ramu..me tera hi intzar kar rahi thi aakhari bar tuje ji bhar ke dekhna chahti thi me..tuje dekhe bina jati to meri aatma ko sukun nahi milta…baba bhi chachi ki bat sunkar andar se tut gaye the aakhir wo unki patni thi jisne har sukh dukh me unka sath haste huwe diya tha…chachi ke ek taraf maya bethi hui thi or bar bar bole ja rahi thi maji aapko kuch nahi hoga..
ham sab sath he.or abhi to laxmi ka kanyadan bhi aap hi ko karna he..tab ghar me bethe kisi rishtedar ne baba k bete ko call karke turant aane ko kaha..par aaj bhi us bete ki bahu ne hi call uthaya tha..wo ghar me nahi he jab aayege tb bol dungi..bolkar turant call cut kar diya..maji ne apne sarhane rakhi ek chiththi nikali jo bete ko janam dekar bhi apna farz pura nahi kiya ..puri zindagi me uske aane ki rah dekhte rahi..yahi aash liye ki beta aaj aayega kal aayega..are apni marti maa ko dekhne tak nhi aaya..eshe bete ko janam dekar me pachchta rahi hu..mene koi janam me bure karm kiye hoge jo esha beta peda huwa muje..aakhari bar beta bahu or pote ko dekhna chahti thi me..par wo nahi aaya..
is liye me apne pure hosho hawash me usse apne bete hone ka or marne ke bad meri chita ko agni dene ka hak me chhin leti hu..mere or mere pati ke pass aaj jo bhi kuch he un sab ka warish me ramu ko or uski patni maya ko banati hu..or baki ke zevar or paise laxmi or uske hone wale bachhe ke liye rakh kar jati hu..bolte bolte maji ki aawaz jese shant hote ja rahi thi..par aakhe abhi bhi apne bete ka intzar kar rahi thi..ramu ne tulsi ka patta or gangajal chachi ke muh me rakha..or bete ka farz ada kiya..turant chachi ne aakhe bandh kar di..
hostel se laxmi bhi aa gai thi..wo bhi apni dadi ko dekhakar bahot roi..baba fir bhi aakhri bar patni ki khwaish jese puri karna chahte the..unhone ramu ko dhire se pass bula kar apne bete ko call karne ko kaha..ramu turant samj gya usne turant receiver uthakar unke bete ko call lagaya..samne se aawaz aai hello kaun bol rahe ho..me ramu bol raha hu aapke pitaji ke ghar se..aapki mataji ab is duniya me nahi rahi he..aakhri bar aapko dekhna chahti thi..kitni bar aapko call kiya tha par aap nahi aaye..kam se kam abhi to aap aakar apne bete hone ka farz pura kijiye taki unki aatma ko shanti mile..
kaun maa kesi maa mere liye to wo usi din mar gai thi jis din tuje apna warish mana tha..khud ka beta hone ke bawjud bhi tumko apna warish banaya tha..me nahi aane wala hu meri koi maa or koi baap nahi he samje n tum..or sun tune jo jadu tona karke sare mal saman par jo kabza kiya he n uska badla to me lekar hi rahunga..tuj par case karuga..
dekhiye aap muje galat samj rahe he..ye sab aap or aapke parivar ka he or rahega ..muje kuch nahi chahiye ..me sirf aapko yha se le jane aaya hu..dusri taraf daah sanskar waqkat nikalta ja raha tha..baba ne kaha bekar me bahes karn se achha he ramu tum apna farz pura karo..tum hi hamare ab asali bete ho aage badho ramu..tab bahot samajane par ramu chachi ki chita ko aag dene khada huwa..aakhari bar sab ne chachi ka chehra dekhne ke bad hath jodar pranam kar ramu ne mukhagni di ..or bhagawan se prathna ki unki aatma ko shanti de..aakhir wo maa thi n wo man ki aakho se jese abhi bhi bete ka intzar kar rahi thi..sab log chita ki aag thandi karke ghar aaye..ramu ne chita ki aag ko thandi karke ek matki me bhar li..kam se kam ye ashtiya to unke bete ke hatho se gangajal me bahake rahuga..taki unki aatma ko shanti mil sake..
ye bat ramu ne sirf maya ko batai ghar me baba se iske bare me n bolne ka vachan liya..chachi ka sara kriya karam sab ramu ne hi kiya tha..sab ne sachhe man se yahi bola esha beta sab ko de..jo paraya hokar bhi apne bete hone ka sara farz pura kiya..jese tese samay gujrata gaya..sal din or mahina bhi ek ek karte bitte gye..laxmi ne doctari complete kar li thi..or usne practice bhi chalu kar di thi..
ek din ramu ne baba ko kaha aapki agar anumati ho to me kuch dino ke liye apne gaw jana chahta hu..q ki ab laxmi bhi doctor ban gai he..or gaw me jo mera purana ghar he uski marmmat karke garibo ke liye mufat ilaz ho sake esha aspital banana chahta hu..are to is nek kam me meri anumati ki kya jarur he meri taraf se ha he..or ek bat isme koi bhi jarur ho rupey paiso ki to bina zizak tum bola dena..
ramu ne maya ko wahi rukne ko kaha taki baba ki dekh bhal kar sake..or kam pura hote hi me jaldi wapis aa jauga ye bolke ramu apne gaw jane nikal pada..gaw me abhi kafi sudhar ho chuka tha..pakki sadak ab gaw me bijli bhi aa gai thi ..man hi man ramu khush hote or apne purane dost ko yad karte karte apne ghar pahoch gya..par ye kaya aaj har jga gaw me bijli pani or school bhi chalu ho gya tha..20 sal pahele ka gaw or aaj ka gaw jese ek sapna lagta tha..ramu gadi me se niche uatrakar dhire dhire apne ghar ki or chalne laga..ghar to puri tarah tut gaya tha..bas ghar ki yade baki rahe gai thi.
pichhe se ek dhimi aawaz sunai di, sahib aap kaun he or kaha se aaye ho, or is ghar ko itna gaur se q dekh rahe ho..ramu ne pichhe mud ke dekha to wo aawaz kuch jani pahechani si lagi..ashok tum ashok hi ho n, ha sahib me ashok hi hu par aap mera nam kese jante ho.. ashok me ramu tera dost, tu bhi suit pent or gadi ko dekh kar dhokha kha gye n.apne dost ko pahechan nahi saka ..tune muje jo purani cycle di thi ye bolke ki bure samay me kam aa sake usi se mera safar shuru huwa tha ashok..aaj bhi mene wo cycle sabhalke rakhi he..roz tumko yad karta tha..or dekho aaj wo din aai gaya..dono dost ek dusre ke gale lagke khub roye or purani yade taza karte huwe ashok ramu ko apne ghar le gya..
ashok ki patni lata ramu ko dekh kar bhaot khush hui dono ne laxmi or maya ke halchal puchhe..ramu ne khana kha kar apni sari bate un dono ko sunai..or yha aane ka karan bhi ashok ko bataya..ashok ne ramu ko bola tu jara bhi nhi badla tu kal bhi wesa tha aaj bhi wesha hi he tu itna bada aadmi ho gya fir bhi tu nahi badla..teri hotel or khane ke charche yha tak ho rahe the, me aaya tha tere waha kam magne..mene waha aakar watchman se bola bhi me ramu ka dost hu..muje anadar jane do..or usne muje bhikhari samjkar dhakke marke bahar nikal diya..shayad wo mere phate purane kapdo ko dekh esha samja hoga..dono dosto ne bahot si bate ki…,ramu ne kaha ashok tum jante ho ab laxmi bhi bahot badi doctor ban gai he..or isi gaw me wo apni practice shuru karegi aaj wo samay aa gaya he garibo ke liye mufat ka aspital kholne ka or me isi kam se yha aaya hu..me apne purane ghar ko marmmat karke waha aspital banwana chahta hu..taki koi bhi insan bina ilaz ke mar n sake or iske liye Sarkar se loan ke liye bhi bat kar li he..
ramu ye bahot khushi ki bat he..kuch hi din me loan pass ho gai or aspital ka kam shuru ho gaya..laxmi bhi ab gaw me rahekar practice shuru kar di thi..par kahete he n jyada khushi ho to nazar lag jati he..ramu ke aspital ki bate or kharcha ye sab bate baba ke ladke ke kano me aakar pada..sab ne yhi kaha dekha tere paiso se wo maze kar raha he..ghar, gadi, bangla or ab ye aspital ka kharch itna paisa aaya kaha se..ye sab tumhara he baba ke ladke ko uski patni ne bola…
aaj bhi ham 2 room ki divar me zindgi gujar rahe he..or wo dekho gadi, bangla hotel nokar chakar ..baba ke ladke ne apni patni ki bat sun kar bola shayad tum thik kahe rahi ho..ye sab mere or mere bete ka he..wo hota kaun he .me use chhoduga nahi.
Itna bolke wo gaw 4-5 hatte katte insano ko sath me lakdi lekar ramu ko marne uske gaw aa gaya or unchi aawaz me bolne laga..kaha he ramu bahar nikal..ye sab mera he..or tu uspe kabza karke beth gaya he..me tuje nahi chhoduga..ramu ne kaha dekhiye aap muje galat samj rahe ho..mere or meri patni ke man me esha koi lalach nahi he..mera yakin maniye..mene aapki milkiyat ka ek paisa bhi liya nahi he..aaj din tak mene apni kamai se hi ghar ka or ladki ko doctor banane ka kharcha bhi apni kamai se pura kiya he..dekh ramu me teri eshi zuthi kahaniyo me aane wala nahi hu..tune mere maa baap ko bahelakar apne nam sari milkiyat likha di he ye sab me janta hu..
Ramu ne hath jodkar baba ke bete ko kaha dekhiye aap muje fir se galat samaj rahe he yakin n ho to ap apne ghar jakar dekhiye..ha aapke maa or pitaji ne mere or laxmi ke nam rupey paise zevar likh diya tha..par us time marti hui maa ki aatma ko dukh n pahoche is liye shant rahekar us time kuch nahi bola me ..maa ke kriya karam ki sari puja karke dusre din hi ek achhe vakil se bat karke sari milkiyat aapke or aapki santan par kar di he..or fir bhi yakin n ho to ye raha uske office ka pata or phone ka number..or abhi bhi maji ki ashthiya sbhalke ek kone me rakhi he ..q ki me janta hu jha tak tum apne hath se ye gangajal me nahi bahaoge waha tak unki aatma ko shanti nahi milegi..
Me apne ghar ka kharcha apni kamai se pura karta tha.jo ek aam Aamadni ki salary hoti he wese har mahine hisab se me leta tha..ha aapke maa or baba or duniya ki nazar me unka warish or beta tha..par me ek aam aadmi tha,..or jo mera nahi he wo me kese leta..rahi bat aspital ko banwane ki to uski loan ke liye Sarkar se bat karke rakhi thi…or loan pass hote hi usi paiso se ye aspital banwa raha hu..agar aapko yakin nahi he to ye dekhiye kagaz..or ha aap se hath jodkar binti he ghar jake apne pure parivar sah baba ki mafi mag lijiye abhi unko aapki jarur he..muje bharosha he wo aapko maf kar dege..
Me ab yahi gaw me rahekar meri patni or ladki ke sath garibo ka mufat ilaz or do time ka khana mil sake esha kuch kam karna chahta hu..taki koi or ramu ko apna gaw chhodke dusre gaw ja na sake…chup raho ramu bandh karo ye bate ..tumhari bate dil me nastar ki tarah chubh rahi he yaha aane se pahele tumhare liye kya kya sochke aaya tha..per tum usse bilkul alag nikle dost ..muje maf kar do esha bolke wo ramu ke pairo me gir gaya..or apne kiye par sharminda hone par mafi magne laga..utho bhai dost kaha he n to bat mano meri..or khushi khushi ghar jake apni jimmedari sabhalo..muje pura yakin he .baba tumhe jarur maf kar dege..fir beta or bahu dono ne ghar jake baba ke pairo me gir ke apne kiye karmo ki mafi magi..fir sab ne ek sath milke maji ki asthiya gangajal me bahai..tab jese ek shukun si shanti mili beta khush rahe tu aaj mere aatma ko shanti mil gai he..
Fir ghar aake sab ne fresh hokar ek sath khana khaya uske bad ramu or maya apne kamre me aakar apna saman ek sanduk me bharne lage..bs jate jate maji ki photo or apni purani cycle sath le li thi..
Jate jate apne suit pent lokar ki chabi gadi sab kuch wahi rakh diya..ramu ko esha dekh sab heran ho gaye..or herat bhari Nazaro se ramu ki or dekhne lage..tab baba ne ramu se puchha tum kahi ja rahe ho or ye sab kya he..tab hath jodkar ramu ne kaha ha baba me ja raha hu apne gaw hamesha ke liye ab wahi rahuga..me ek aam aadmi hu or ye pahechan me bhulna nahi chahta..aasha he ki aap muje jane se rokege nahi..me waha rahekar garibo ka mufat ilaz or unki seva karna chahta hu..or maji ke nam se hi hotel ka nam bhi annpurna rakhuga..jha garibo ko do time ka muft khana mil sake..bas baki ka jivan eshe logo ki seva karte bita dena chahta hu..bas ek jimmedari puri karni baki he..laxmi ke liye achha ladka or ghar bar mil jaye bs uski sadi karke apni jimmedari puri kar dena chahta hu..
Tab baba ke ladke ne ramu se kaha agar tum mere bete ko laxmi ke liye layak samjte ho to laxmi ko apne ghar ki bahu banana chahta hu..tab me manuga ki tumne muje sachhe dil se maf kr diya he..tab baba ne bola ramu ye sahi bol raha he.laxmi jesi bahu pakar mera pura parivar tumhara aabhari rahega..darsal bachpan se mere pote ke liye laxmi jesi bahu ki chahna thi..or dekho aaj meri wo khwaish bhi puri ho gai he..par ha laxmi ko bhi ye bat puchh leni chahiye ki use ye sadi pasand he ya nahi ..
Laxmi se jake ye bat puchhi tab haskar usne jawab diya aap sab ne jo socha hoga achha hi hoga usme hi meri khushi he..muje ye sadi manjur he..laxmi ke hath pile karke ramu or maya apne gaw jane lage the..wo log jese hi aage badhe wese hi pichhe se aawaz aai beta apne baba ko akele yha kiske sahare chhodke jaoge ramu..muje sath nahi loge..
Me bhi tumhare sath hi aauga ..me bhi tumhare sath is nek kam me logo ki seva karte or annpurna ko yad karte me apna jivan gujar duga…..dekho ab isme na mat kahena..ramu ne haskar bola jesi aapki marji..
Baba ne pure ghar ki jimmedari paise zevar sab beta or bahu ko soap kar ramu ke sath nikal pade..ramu ke gaw jakar aspital ka muhrat or maji ke nam se jo bhojnalay kholna tha uska ribban baba ke hatho se cut waya..or pass me hi maji ki marble ki murti bhi sthapit ki taki wo jga sach me annpurna lage..or baba ko bhi iski kami mahesus n ho..laxmi aaj bhi garibo ke liye banaye huwe aspital me mufat ilaz karti he..or usme ramu or maya bhi unke yha aane walo ki apne se ho sake utni madad karte he…
Baba ki ab umar ho gai thi ab unse itna kam nahi ho sakta tha shesh jivan bhagwan ki puja or apni patni ki yado me gujar diya..ek rat eshe hi bhagwan ki mala karte karte nind me hi so gaye …subah ramu ne dekha baba ab is duniya se ja chuke the…samay bitta ja raha tha..ab ramu or maya bhi ek chhoti si pari ke nana nani ban chuke the..dono ke bal safed or haddiya bhi ab kamjor pad gai thi..par logo ki seva karne ka kam abhi tak nahi chhoda..maya ne puri zindgi ramu ke har sukh dukh me sath diya ab wo bhi chal basi thi.. ab ramu akela pad gaya tha..
Ramu ne laxmi se ek vachan liya mere jane ke bad bhi ye seva avirat chalti rahegi use kabhi bandh mat hone dena..laxmi ne apne aakhri sas ginte huwe apne papa ko vachan diya…
Ramu jese kai log he is duniya me.jo esha kam bina swarth ke karte aa rahe he..meri aap sab se binti he q n ham bhi esha koi kam kare jo marne ke bad bhi hame nahi hamare kam ko yad kare. Aaj ek padha likha insan apne 4-5 dosto ke sath kuch samay un logo ke bich jakar jo anpadh he unke bachho ko padhna likhna sikhye…ladkiyo ke liye bhi padhna likhna kitna jaruri he ye samjaye, gaw ki orte sadi kake ghar sabhale ,kheti badi or bachho ko sabhlna iske aage kuch nahi kar sakti..to gaw ki orto ko bhi ghar ka pura kam karke bache samay me ghar se hi kuch aamdani kar sake esha kuch sikhaye..jese achhhar, papad, masale, silai, bunai, apna khud ka gruh udhdhyog shuru kar sake eshi talim de sake..isse ghar me do paiso ki bachat ho sake….aage chalake wo apni pahechan khud bana sake …kam koi bhi ho chhota ya bada par mahenat se kiya gaya kam ki bat hi kuch or hoti he..
fir dekhiye har garib or aam aadmi ke chehre pe kesi muskan aati he..
To dosto aap sab ko meri ye kahani kesi lagi ..agar koi galti hui ho to maf kar dena ..isi ke sath aapki host meena sharma ek or nai kahani ke safar par nikal padi hu …aasha karti hu aane wale naye sal me fir se ek bar nai kahani ke sath hazir hoti hu..
So friends ek bar fir se ek bar aane wale naye sal ki shubh kamna happy new year 2025….aap ke jivan me ek naya khushi ka paigam lekar aaye..
Par dosto bhuliyega nahi seva karne ka ye kam kbhi rukna nahi chaiye ..pata nahi kaun roop me farishta mil jaye..
To isi ke sath ye kahani yha puri kari hu ….